Samundar Ki Kuchh Bundon Se Baat Ki

samundar ki kuchh bundon se baat ki

wo bhi apne wajud ko le kar wyakul hain

wishaal samundar mein kaha koi un ki hai sunta

jabki un se hi samundar hai

un ke bina samundar bas marusthal hai

bunden din-raat prayatn karti hain

ek bund dusre ko aage Dhakel kar

samundar ka wajud qaem rakhti hain

un ko ehsas hai apne hone ka

lekin

samundar har bar is baat ko bhul jata hai

sochon agar bunden widroh kar den

bana kar dost suraj ko

upar aakash mein baadal se mil jaen

ho sakta hai dosti dhara se kar len

us ke gart mein sama jaen

sukh jaega samundar

bundon ka wajud to hamesha bana rahega

samundar ko abhiman kis baat ka

kya pata

kya use nahin pata

kis ne kiya us ka wajud qaem

miT jaega ek din

bas bundon ko qadam widroh ka uThana hai

(684) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samundar Ki Kuchh Bundon Se Baat Ki In English By Famous Poet Kamal Upadhyay. Samundar Ki Kuchh Bundon Se Baat Ki is written by Kamal Upadhyay. Read famous Poem Samundar Ki Kuchh Bundon Se Baat Ki for youth and Student by Kamal Upadhyay. Free Download Samundar Ki Kuchh Bundon Se Baat Ki in PDF.