Kuchh Rishte Jalane PaDe

chand bhi kambal oDhe nikla tha

sitare ThiThur rahen the

sardi baDh rahi thi

ThanD se bachne ke liye

mujhe bhi kuchh rishte jalane paDe

kuchh rishte

jo bas nam ke bache the

khinch raha tha

main un ko

kabhi wo mujhe khincha karte the

sardi baDh rahi thi

ThanD se bachne ke liye

mujhe bhi kuchh rishte jalane paDe

kuchh rishte

bahut kamzor ho chale the

un ki lapaT bhi bahut kam thi

kuchh itne patle

ki jalne se pahle rakh ho gae

sardi baDh rahi thi

ThanD se bachne ke liye

mujhe bhi kuchh rishte jalane paDe

kuchh purane rishte the

mere janam ke pahle ke

sajoya tha unhen main ne

unhen nahin tha koi lagaw mujh se

sardi baDh rahi thi

ThanD se bachne ke liye

mujhe bhi kuchh rishte jalane paDe

(645) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kuchh Rishte Jalane PaDe In English By Famous Poet Kamal Upadhyay. Kuchh Rishte Jalane PaDe is written by Kamal Upadhyay. Read famous Poem Kuchh Rishte Jalane PaDe for youth and Student by Kamal Upadhyay. Free Download Kuchh Rishte Jalane PaDe in PDF.