Samay Ko ATka Diya

kalai ki ghaDi ko

aaj baDe pyar se utara

aur us ki kunji ko khinch kar

ek asafal paryas kiya

ghaDi ko rokne ka

phir bhi jab na mani ghaDi

to

chaTka kar us ka kanch

kuchh ghawon se

us ki ek sui ko toD diya

ghaDi bhi ziddi qism ki hai

rukne ka nam nahin hai leti

kitna mushkil hai

waqt ko pakaD kar rakhna

ya bandhna use kisi waqiye ke sath

kuchh bigDega kya us ka

yadi wo kuchh der Thahar jaega to

aaKHir mein ek sui ko

pakaD kar moD diya

kuchh is tarah ki

aTak jae wo waqt wahi

main un lamhon ko mahsus karta rahun

wo lamha jahan main kuchh bhi nahin

lekin gham bhi nahin

mere kuchh na hone ka

ab aTka kar samay ko

main mauj manaunga

(566) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samay Ko ATka Diya In English By Famous Poet Kamal Upadhyay. Samay Ko ATka Diya is written by Kamal Upadhyay. Read famous Poem Samay Ko ATka Diya for youth and Student by Kamal Upadhyay. Free Download Samay Ko ATka Diya in PDF.