Ruton Ke Rang Badalte Hue Bhi Banjar Hai

ruton ke rang badalte hue bhi banjar hai

wo ek KHas ilaqa jo dil ke andar hai

ghaDi ghaDi meri aaankhon mein uD rahi hai dhul

sadi sadi ka meri rah mein samundar hai

bujha bujha hua rahta hun apne KHwabon mein

dhuan dhuan sa mere jagne ka manzar hai

ajib KHwab sa dekha ki pure dariya mein

koi jahaz kahin hai na koi langar hai

badan pe TuT bikharne ko hai kahin na kahin

hiras-o-KHauf ka saya jo mere sar par hai

main kis ki khoj mein yun hi bita raha hun janm

chhupa hua mere sae mein kis ka paikar hai

suna rahi hai hawa apne hi safar-name

ajib shor ghane jangalon ke andar hai

(672) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruton Ke Rang Badalte Hue Bhi Banjar Hai In English By Famous Poet Kamil Akhtar. Ruton Ke Rang Badalte Hue Bhi Banjar Hai is written by Kamil Akhtar. Read famous Poem Ruton Ke Rang Badalte Hue Bhi Banjar Hai for youth and Student by Kamil Akhtar. Free Download Ruton Ke Rang Badalte Hue Bhi Banjar Hai in PDF.