Manzaron Ki BhiD Aisi To Kabhi Dekhi Na Thi

manzaron ki bhiD aisi to kabhi dekhi na thi

ganw achchha tha magar us mein koi laDki na thi

ruh ke andar KHala hai ye mujhe malum tha

khokhla hai jism bhi is ki KHabar pahunchi na thi

hath thama hai sada ke waste waise magar

sath us ka chhoDne mein kuchh burai bhi na thi

un dinon bhi dard ka saya mere ham-rah tha

jab dhuan ban kar wo mere zehn par chhai na thi

jazb ho jaane ka qissa KHud se bhi mansub kar

bhul meri thi agar tu bhi koi dewi na thi

rang pakka ho chala tha yaad aata hai magar

dhup mere jism par tab Thik se bhigi na thi

KHwahishon ka wo jazira bhi to aaKHir bah gaya

KHauf-o-KHatra ki jahan par koi aabaadi na thi

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzaron Ki BhiD Aisi To Kabhi Dekhi Na Thi In English By Famous Poet Kamil Akhtar. Manzaron Ki BhiD Aisi To Kabhi Dekhi Na Thi is written by Kamil Akhtar. Read famous Poem Manzaron Ki BhiD Aisi To Kabhi Dekhi Na Thi for youth and Student by Kamil Akhtar. Free Download Manzaron Ki BhiD Aisi To Kabhi Dekhi Na Thi in PDF.