Aakash Ki Hasin Fazaon Mein Kho Gaya

aakash ki hasin fazaon mein kho gaya

main is qadar uDa ki KHalaon mein kho gaya

katra rahe hain aaj ke suqraat zahr se

insan maslahat ki adaon mein kho gaya

shayad mera zamir kisi roz jag uThe

ye soch ke main apni sadaon mein kho gaya

lahra raha hai sanp sa saya zamin par

suraj nikal ke dur ghaTaon mein kho gaya

moti sameT lae samundar se ahl-e-dil

wo shaKHs be-amal tha duaon mein kho gaya

Thahre hue the jis ke tale hum shikasta-pa

wo saeban bhi tez hawaon mein kho gaya

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aakash Ki Hasin Fazaon Mein Kho Gaya In English By Famous Poet Kamil Bahzadi. Aakash Ki Hasin Fazaon Mein Kho Gaya is written by Kamil Bahzadi. Read famous Poem Aakash Ki Hasin Fazaon Mein Kho Gaya for youth and Student by Kamil Bahzadi. Free Download Aakash Ki Hasin Fazaon Mein Kho Gaya in PDF.