Ek BhaTke Hue Lashkar Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin

ek bhaTke hue lashkar ke siwa kuchh bhi nahin

zindagani meri Thokar ke siwa kuchh bhi nahin

aap daman ko sitaron se sajae rakhiye

meri qismat mein to patthar ke siwa kuchh bhi nahin

tera daman to chhuDa le gae duniya wale

ab mere hath mein saghar ke siwa kuchh bhi nahin

meri TuTi hui kashti ka KHuda hafiz hai

dur tak gahre samundar ke siwa kuchh bhi nahin

log bhopal ki tarif kiya karte hain

is nagar mein to tere ghar ke siwa kuchh bhi nahin

(601) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek BhaTke Hue Lashkar Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Kamil Bahzadi. Ek BhaTke Hue Lashkar Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin is written by Kamil Bahzadi. Read famous Poem Ek BhaTke Hue Lashkar Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Kamil Bahzadi. Free Download Ek BhaTke Hue Lashkar Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin in PDF.