Saya-e-zulf Nahin Shola-e-ruKHsar Nahin

saya-e-zulf nahin shola-e-ruKHsar nahin

kya tere shahr mein sarmaya-e-didar nahin

waqt paD jae to jaan se bhi guzar jaenge

hum diwane hain mohabbat ke adakar nahin

kya tere shahr ke insan hain patthar ki tarah

koi naghma koi payal koi jhankar nahin

kis liye apni KHataon pe rahen sharminda

hum KHuda ke hain zamane ke gunahgar nahin

surKH-ru ho ke nikalna to bahut mushkil hai

dast-e-qatil mein yahan saz hai talwar nahin

mol kya zaKHm-e-dil-o-jaan ka milega 'kaamil'

shaKH-e-gul ka bhi yahan koi KHaridar nahin

(1082) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saya-e-zulf Nahin Shola-e-ruKHsar Nahin In English By Famous Poet Kamil Bahzadi. Saya-e-zulf Nahin Shola-e-ruKHsar Nahin is written by Kamil Bahzadi. Read famous Poem Saya-e-zulf Nahin Shola-e-ruKHsar Nahin for youth and Student by Kamil Bahzadi. Free Download Saya-e-zulf Nahin Shola-e-ruKHsar Nahin in PDF.