Hota Agar Dabiz Junun-e-safar Ka Rang

hota agar dabiz junun-e-safar ka rang

KHud hi utarne lagta rah-e-pur-KHatar ka rang

suraj ghurub hote hue mujh se kah gaya

kuchh to bata ki kaisa hai KHun-e-jigar ka rang

ai ahliyan-e-amn-o-aKHuwat main kya kahun

kis darja surKH hai tere diwar-o-dar ka rang

mana ki lab KHamosh the aankhen to chup na thin

sab raaz fash kar gaya teri nazar ka rang

han ai amir-e-shahr zara aankh to mila

tujh ko bataun kya hai ruKH-e-mo'atabar ka rang

main aasman oDh ke soya raha 'saba'

ghurbat pe meri hansta raha shab qamar ka rang

(584) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hota Agar Dabiz Junun-e-safar Ka Rang In English By Famous Poet Kamran Ghani Saba. Hota Agar Dabiz Junun-e-safar Ka Rang is written by Kamran Ghani Saba. Read famous Poem Hota Agar Dabiz Junun-e-safar Ka Rang for youth and Student by Kamran Ghani Saba. Free Download Hota Agar Dabiz Junun-e-safar Ka Rang in PDF.