Ilzam-e-tirgi Ke Sada Us Pe Aae Hain

ilzam-e-tirgi ke sada us pe aae hain

jis ne charagh apne lahu se jalae hain

shayad use hamari ana ka guman na tha

hum tishnagi paTak ke samundar se aae hain

ye dilkashi subut hai ai jaan-e-shairi

phulon ne rang tere labon se churae hain

hairan hai wo bhi wusat-e-parwaz dekh kar

jis ne hamari fikr par pahre biThae hain

tark-e-talluqat pe wo bhi the gham-zada

aur hum bhi apni zat se jang haar aae hain

ab nam kya bataun ki gham kis ka hai 'saba'

aankhen meri zarur hain aansu parae hain

(665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ilzam-e-tirgi Ke Sada Us Pe Aae Hain In English By Famous Poet Kamran Ghani Saba. Ilzam-e-tirgi Ke Sada Us Pe Aae Hain is written by Kamran Ghani Saba. Read famous Poem Ilzam-e-tirgi Ke Sada Us Pe Aae Hain for youth and Student by Kamran Ghani Saba. Free Download Ilzam-e-tirgi Ke Sada Us Pe Aae Hain in PDF.