Tumhein Bataun Ki Kis Mashghale Se Aai Hai

tumhein bataun ki kis mashghale se aai hai

meri nazar mein chamak ratjage se aai hai

KHayal jaise hi aaya zara sa dam le lun

to ek sada-e-jaras qafile se aai hai

chamak rahi hai jabin naqsh-e-pa ki barakat se

wo bil-yaqin tere raste se aai hai

ye kya ajab hai ki mujh ko hi kuchh nahin malum

jo meri baat tere waste se aai hai

tum apne jism ki KHushbu sambhaal kar rakhna

ye bahki bahki sada aaine se aai hai

bas itni zid thi musalla bichha ke pina hai

palaT ke meri ana mai-kade se aai hai

jise bhulae zamana guzar chuka tha 'saba'

usi ki yaad baDe walwale se aai hai

(608) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhein Bataun Ki Kis Mashghale Se Aai Hai In English By Famous Poet Kamran Ghani Saba. Tumhein Bataun Ki Kis Mashghale Se Aai Hai is written by Kamran Ghani Saba. Read famous Poem Tumhein Bataun Ki Kis Mashghale Se Aai Hai for youth and Student by Kamran Ghani Saba. Free Download Tumhein Bataun Ki Kis Mashghale Se Aai Hai in PDF.