Aankh Kholi Hai To Ye Dekh Ke Pachhtae Hain

aankh kholi hai to ye dekh ke pachhtae hain

log ghazlon se bahut dur nikal aae hain

wo jo dukh sahte the uf tak bhi nahin karte the

aaj saf bandh ke maidan mein utar aae hain

KHun hi KHun nazar aata hai ta-hadd-e-nazar

kis ke naqsh-e-kaf-e-pa arsh pe lahrae hain

aaj ye soch ke larzan hai jafa-ju ka ghurur

qumqume kis liye dharti pe utar aae hain

kaamran hone ka ushshaq ko dete hain payam

ye KHat-o-KHal jo kohre se ubhar aae hain

kal talak shaiKH gurezan bhi the bezar bhi the

aaj kuchh baat hai jo 'soz' ke ghar aae hain

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Kholi Hai To Ye Dekh Ke Pachhtae Hain In English By Famous Poet Kanti Mohan Soz. Aankh Kholi Hai To Ye Dekh Ke Pachhtae Hain is written by Kanti Mohan Soz. Read famous Poem Aankh Kholi Hai To Ye Dekh Ke Pachhtae Hain for youth and Student by Kanti Mohan Soz. Free Download Aankh Kholi Hai To Ye Dekh Ke Pachhtae Hain in PDF.