Kuchh Bujhi Bujhi Si Hai Anjuman Na Jaane Kyun

kuchh bujhi bujhi si hai anjuman na jaane kyun

zindagi mein pinhan hai ek chubhan na jaane kyun

aur bhi bahut se hain luTne ko duniya mein

ban gae hain rahbar hi rah zan na jaane kyun

un ki fikr-e-ala par log sar ko dhunte the

aaj wo pareshan hain ahl-e-fan na jaane kyun

jis chaman mein sadiyon se tha bahaar ka qabza

us mein hai KHizaon ka ab chalan na jaane kyun

jin gulon se kanTe KHud dur bach ke rahte the

chaak chaak hain un ke pairahan na jaane kyun

ghair kuchh to karte hain pas aur lihaz apna

aur dost hote hain KHanda-zan na jaane kyun

ghunche ghunche ke tewar gulsitan mein badle hain

hum chaman mein rah kar hain be-chaman na jaane kyun

jin ko apna samjhe the karte hain 'kanwal' hum se

dosti ke parde mein makr o fan na jaane kyun

(658) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bujhi Bujhi Si Hai Anjuman Na Jaane Kyun In English By Famous Poet Kanval Dibaivi. Kuchh Bujhi Bujhi Si Hai Anjuman Na Jaane Kyun is written by Kanval Dibaivi. Read famous Poem Kuchh Bujhi Bujhi Si Hai Anjuman Na Jaane Kyun for youth and Student by Kanval Dibaivi. Free Download Kuchh Bujhi Bujhi Si Hai Anjuman Na Jaane Kyun in PDF.