Bahut Dinon Se Khula Dar Talash Karta Hun

bahut dinon se khula dar talash karta hun

main apne ghar mein khaDa ghar talash karta hun

palak pe qatra-e-shabnam uThae sadiyon se

tere karam ka samundar talash karta hun

nazar mein jit ki tasdiq ka sawal liye

gali gali mein sikandar talash karta hun

badan badan se KHulus-o-wafa ki KHushbuen

main sungh kar nahin chhukar talash karta hun

labon ki pyas bujhane ke waste saqi

kisi buzurg ka saghar talash karta hun

jawaharaat ke ek Dher par khaDa ho kar

nai pasand ka patthar talash karta hun

tu aandhiyon ke tashaddud ki baat karta hai

main apne TuTe hue par talash karta hun

(628) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Dinon Se Khula Dar Talash Karta Hun In English By Famous Poet Kanval Ziai. Bahut Dinon Se Khula Dar Talash Karta Hun is written by Kanval Ziai. Read famous Poem Bahut Dinon Se Khula Dar Talash Karta Hun for youth and Student by Kanval Ziai. Free Download Bahut Dinon Se Khula Dar Talash Karta Hun in PDF.