Gham Ki Har Ek Baat Ko Ab Gham Pe ChhoD De

gham ki har ek baat ko ab gham pe chhoD de

is tishnagi ko qatra-e-shabnam pe chhoD de

jo tu ne kar diya hai to is ka hisab rakh

jo hum se ho gaya hai use hum pe chhoD de

KHanjar tha kis ke hath mein bas itna yaad kar

zaKHmon ka dard waqt ke marham pe chhoD de

tu dewta hai sirf ibaadat se kaam rakh

aadam ke har gunah ko aadam pe chhoD de

ab aane wale waqt ka tu intizar kar

mazi ko dur haal ke matam pe chhoD de

mausam pe munhasir hai ye fasl-e-gham-e-hayat

fasl-e-gham-e-hayat ko mausam pe chhoD de

tu apne ghar ko talKHi-e-gham se bacha ke rakh

aalam ki baat wali-e-alam pe chhoD de

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Ki Har Ek Baat Ko Ab Gham Pe ChhoD De In English By Famous Poet Kanval Ziai. Gham Ki Har Ek Baat Ko Ab Gham Pe ChhoD De is written by Kanval Ziai. Read famous Poem Gham Ki Har Ek Baat Ko Ab Gham Pe ChhoD De for youth and Student by Kanval Ziai. Free Download Gham Ki Har Ek Baat Ko Ab Gham Pe ChhoD De in PDF.