Harfon Ka Dil Kanp Raha Hai Lafzon Ki Diwar Ke Pichhe

harfon ka dil kanp raha hai lafzon ki diwar ke pichhe

kis qatil ka nam likha hai lafzon ki diwar ke pichhe

KHun se jalta ek diya hai lafzon ki diwar ke pichhe

aaj bhi kitni garm hawa hai lafzon ki diwar ke pichhe

karwaT le kar ek qayamat jagne wali hai ab shayad

kahne ko ek sannaTa hai lafzon ki diwar ke pichhe

sahma sahma khoya khoya kab se baiTha socha raha hun

kis ne mujh ko qaid kiya hai lafzon ki diwar ke pichhe

sab jaane pahchane chehre main bhi tu bhi ye bhi wo bhi

lashon ka ek shahr basa hai lafzon ki diwar ke pichhe

lafzon ki diwar ke aage aks ubhar aaya hai kis ka

KHanjar le kar kaun khaDa hai lafzon ki diwar ke pichhe

ruh-e-ghazal par tanhai mein jaane kitne war hue hain

misra misra tharraata hai lafzon ki diwar ke pichhe

(672) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Harfon Ka Dil Kanp Raha Hai Lafzon Ki Diwar Ke Pichhe In English By Famous Poet Kanval Ziai. Harfon Ka Dil Kanp Raha Hai Lafzon Ki Diwar Ke Pichhe is written by Kanval Ziai. Read famous Poem Harfon Ka Dil Kanp Raha Hai Lafzon Ki Diwar Ke Pichhe for youth and Student by Kanval Ziai. Free Download Harfon Ka Dil Kanp Raha Hai Lafzon Ki Diwar Ke Pichhe in PDF.