Ishq Ki Duniya Mein Kya Kya Hum Ko Saughaten Milin

ishq ki duniya mein kya kya hum ko saughaten milin

suni subhen roti shamen jagti raaten milin

ya barasti dhup mein tapte sulagte din mile

ya rida-e-dard mein lipTi hui raaten milin

kuchh sabahat kuchh malahat thi nasib-e-ashiqan

aansuon ke rang mein namkin barsaten milin

gah ujaD jaane ka matam gah bichhaD jaane ka shor

dil ke andar jab milin nauhon ki baraaten milin

khokhle chehron pe sim-o-zar ki thin aaraishen

ahl-e-mani ko magar lafzon ki KHairaaten milin

khelne wale to bas das bis shatranji rahe

dekhne walon ko shah-maton pe shah-maten milin

zalzale aae to jo paikar the sang-o-KHisht ke

un ke honTon par duaen aur munajaten milin

ishq ko fikr-o-shuur-e-zindagi darkar tha

aur use na-puKHta zehnon ki karamaten milin

hum unhi ko sher ka qalib ata karte rahe

be-sada honTon pe jo bikhri hui baaten milin

kis tarah kahte 'karam' duniya se apne dil ka haal

doston se bhi adhuri si mulaqaten milin

(691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ki Duniya Mein Kya Kya Hum Ko Saughaten Milin In English By Famous Poet Karam Hyderabadi. Ishq Ki Duniya Mein Kya Kya Hum Ko Saughaten Milin is written by Karam Hyderabadi. Read famous Poem Ishq Ki Duniya Mein Kya Kya Hum Ko Saughaten Milin for youth and Student by Karam Hyderabadi. Free Download Ishq Ki Duniya Mein Kya Kya Hum Ko Saughaten Milin in PDF.