Gulab Mange Hai Ne Mahtab Mange Hai

gulab mange hai ne mahtab mange hai

shuur-e-fan to lahu ki sharab mange hai

wo us ka lutf-o-karam mujh ghariq-e-isyan se

gunah mange hai aur be-hisab mange hai

hawas ki baDh har ek bandh toDna chahe

nazar ka husn magar intiKHab mange hai

kahan ho khoe hue lamho! lauT kar aao

hayat umr-e-guzishta ka bab mange hai

mere kalam mein taus bhi hai shahin bhi

sinan ke sath mera fan rubab mange hai

chaDha raha hai salibon pe hum ko sadiyon se

zamana phir bhi muqaddas kitab mange hai

na jaane kitni ghaTaen uThi hain rahon mein

magar hai pyas ki har dam sarab mange hai

hai zaKHm-KHurda mere dil ka aaina aisa

KHirad ki tegh se thoDi si aab mange hai

wo meri fahm ka leta hai imtihan shayad

ki har sawal se pahle jawab mange hai

bikhar gaya tha jo kal raat kirchiyon ki tarah

meri nigah wo TuTa sa KHwab mange hai

karamat us se jo puchhun ki zindagi kya hai

jawab dene ke badle hubab mange hai

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulab Mange Hai Ne Mahtab Mange Hai In English By Famous Poet Karamat Ali Karamat. Gulab Mange Hai Ne Mahtab Mange Hai is written by Karamat Ali Karamat. Read famous Poem Gulab Mange Hai Ne Mahtab Mange Hai for youth and Student by Karamat Ali Karamat. Free Download Gulab Mange Hai Ne Mahtab Mange Hai in PDF.