Hasti Ko Jamal De Raha Hun

hasti ko jamal de raha hun

main teri misal de raha hun

mani pe chaDha ke ghaza-e-nau

lafzon ko KHayal de raha hun

mazi pe nigah hai apni gahri

farda ko main haal de raha hun

mushkil bhi hai aur sahal bhi hai

aisa main sawal de raha hun

shishagari hai ajib meri

aaine ko baal de raha hun

mahaul mein hai kuchh aisi KHunki

jazbaat ko shaal de raha hun

kyun aariz-e-waqt ab na nikhre

fan ka hasin KHal de raha hun

imroz ke jitne hain masail

farda hi pe Tal de raha hun

phans kar yun shikanje mein gunah ke

makDi ko main jal de raha hun

gumrah zamana hai to kya gham?

sham-e-mah-o-sal de raha hun

dil TuT gaya to kya 'karamat'

paigham-e-visal de raha hun

(668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasti Ko Jamal De Raha Hun In English By Famous Poet Karamat Ali Karamat. Hasti Ko Jamal De Raha Hun is written by Karamat Ali Karamat. Read famous Poem Hasti Ko Jamal De Raha Hun for youth and Student by Karamat Ali Karamat. Free Download Hasti Ko Jamal De Raha Hun in PDF.