Hath Aa Gaya Hai Jab Se Shuur-e-KHudi Ka Sanp

hath aa gaya hai jab se shuur-e-KHudi ka sanp

sine pe loTta hai gham-e-zindagi ka sanp

apne badan se KHol ana ka utar kar

phunkarta hai sham-o-sahar aagahi ka sanp

main khelta hun us se magar jaanta hun ye

ek din mujhe Dasega nai raushni ka sanp

kyun man ka mor pankh na apne sameT le

aangan mein khelta hai gham-e-ashiqi ka sanp

mauj-e-sarab ka bhi pata dur tak nahin

shiddat se Das raha hai mujhe tishnagi ka sanp

tahzib ka khanDar hai nigahon ke samne

wo rengta hai dekhiye ek KHamushi ka sanp

kyun nilkanTh ban ke na pi jaun us ko main

jo zahr ugal raha hai gham-e-agahi ka sanp

(696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hath Aa Gaya Hai Jab Se Shuur-e-KHudi Ka Sanp In English By Famous Poet Karamat Ali Karamat. Hath Aa Gaya Hai Jab Se Shuur-e-KHudi Ka Sanp is written by Karamat Ali Karamat. Read famous Poem Hath Aa Gaya Hai Jab Se Shuur-e-KHudi Ka Sanp for youth and Student by Karamat Ali Karamat. Free Download Hath Aa Gaya Hai Jab Se Shuur-e-KHudi Ka Sanp in PDF.