Humne Jab Dard Bhari Apni Kahani Likkhi

hum ne jab dard bhari apni kahani likkhi

log kahne lage rudad purani likkhi

main ne ek peD samundar ke jazire se liya

aur chaTTan pe pani ki rawani likkhi

ajnabi tarz liye main nahin aaya hun yahan

dastan apni tumhaari hi zabani likkhi

chashm-e-mahbub ko nargis ka laqab tu ne diya

main ne sheron mein magar raat ki rani likkhi

kaun sa waqt amal ka hai jawani ke siwa?

nind kab aati hai? puchha to jawani likkhi

raat jab aai to din bhar ka fasana likkha

jab chali baad-e-sahar sham suhani likkhi

bagh-e-firdaus ki lori main sunata kaise?

meri qismat mein thi aashufta-bayani likkhi

KHushk tha mera qalam kuchh nahin likh pata tha

likhne baiTha to baDi ram kahani likkhi

tum ne jab harf ko KHwabon ka safar kah Dala

main ne bhi lafz ki tabir-e-maani likkhi

narm-o-nazuk tha 'karamat' tere sheron ka mizaj

waqt paDne pe magar shoala-bayani likkhi

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Jab Dard Bhari Apni Kahani Likkhi In English By Famous Poet Karamat Ali Karamat. Humne Jab Dard Bhari Apni Kahani Likkhi is written by Karamat Ali Karamat. Read famous Poem Humne Jab Dard Bhari Apni Kahani Likkhi for youth and Student by Karamat Ali Karamat. Free Download Humne Jab Dard Bhari Apni Kahani Likkhi in PDF.