Kahte Hain Log Ye Ki BaDi Dil-nashin Hai Sham

kahte hain log ye ki baDi dil-nashin hai sham

lekin mujhe ye lagta hai andoh-gin hai sham

ye ek chhalawa hai ki pahaDon ki aag hai

wahm-o-guman ki shakl mein jaise yaqin hai sham

kya us ko DhunDte ho KHalaon ke darmiyan

tum apne dil mein khoj ke dekho yahin hai sham

ye kaisi machhliyan hain chamakti hain raat bhar

ye jhil hai ki ek nigah-e-hasin hai sham

donon ka wasl ho to shafaq-rang ho ye dil

hai raat aasman to goya zamin hai sham

din ka gunah raat ke sar aa gaya hai kyun?

kya shab ki be-gunahi ki shahid nahin hai sham?

ye to badal chuki hai 'karamat' hawa ka ruKH

kaise kahun ki waqt ke zer-e-nagin hai sham

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahte Hain Log Ye Ki BaDi Dil-nashin Hai Sham In English By Famous Poet Karamat Ali Karamat. Kahte Hain Log Ye Ki BaDi Dil-nashin Hai Sham is written by Karamat Ali Karamat. Read famous Poem Kahte Hain Log Ye Ki BaDi Dil-nashin Hai Sham for youth and Student by Karamat Ali Karamat. Free Download Kahte Hain Log Ye Ki BaDi Dil-nashin Hai Sham in PDF.