Meri Nigah Mein Lamhon Ka KHwab Utra Tha

meri nigah mein lamhon ka KHwab utra tha

zamin ki sath pe ya mahtab utra tha

wo KHas lamha jise umr-e-jawedan kahiye

wo ban ke wasl ka jam-e-sharab utra tha

ye kaisi chuk hui be-KHudi mein hum se ki bas

tamam umr musalsal azab utra tha

muqabla kiya jis peD ne hawaon ka

usi pe barq-e-tapan ka itab utra tha

nadi jo pyas bujhati thi sab ki sadiyon se

KHud us ki pyas bujhane sarab utra tha

sahifa-e-gham-e-hasti ka jab hua tha nuzul

to mujh pe soz-e-mohabbat ka bab utra tha

'karamat' us ko to jaana tha aasman se pare

wo qafila jo sar-e-aftab utra tha

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Nigah Mein Lamhon Ka KHwab Utra Tha In English By Famous Poet Karamat Ali Karamat. Meri Nigah Mein Lamhon Ka KHwab Utra Tha is written by Karamat Ali Karamat. Read famous Poem Meri Nigah Mein Lamhon Ka KHwab Utra Tha for youth and Student by Karamat Ali Karamat. Free Download Meri Nigah Mein Lamhon Ka KHwab Utra Tha in PDF.