Wo Sach Ke Chehre Pe Aisa Naqab ChhoD Gaya

wo sach ke chehre pe aisa naqab chhoD gaya

ruKH-e-hayat pe jaise azab chhoD gaya

natija koshish-e-paiham ka yun hua ulTa

main aasman pe mauj-e-sarab chhoD gaya

wo kaun tha jo meri zindagi ke daftar se

huruf le gaya KHali kitab chhoD gaya

bahaar ban ke wo aaya gaya bhi shan ke sath

ki zard patton pe rang-e-gulab chhoD gaya

mere lahu mein jo aaya tha mehman ban kar

meri ragon mein wo ek aaftab chhoD gaya

gaya to sath wo leta gaya har ek naghma

KHala ki god mein TuTa rubab chhoD gaya

mila na jazba-e-tashkik ko libas koi

wo har sawal ka aisa jawab chhoD gaya

bikherta hai 'karamat' jo dard ki kirnen

wo KHwab zehn mein ek mahtab chhoD gaya

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Sach Ke Chehre Pe Aisa Naqab ChhoD Gaya In English By Famous Poet Karamat Ali Karamat. Wo Sach Ke Chehre Pe Aisa Naqab ChhoD Gaya is written by Karamat Ali Karamat. Read famous Poem Wo Sach Ke Chehre Pe Aisa Naqab ChhoD Gaya for youth and Student by Karamat Ali Karamat. Free Download Wo Sach Ke Chehre Pe Aisa Naqab ChhoD Gaya in PDF.