Ru-ba-ru Gham Ke Ye Taqdir Kahan Se Aai

ru-ba-ru gham ke ye taqdir kahan se aai

aur hatheli ki ye tahrir kahan se aai

dil ke goshe mein jise main ne chhupa rakkha tha

tere album mein wo taswir kahan se aai

dabi KHwahish ka tha izhaar-e-tamasha goya

KHwab tha KHwab ye tabir kahan se aai

fan ko maidan khula chahiye jine ke liye

raqs ki rah mein zanjir kahan se aai

zindagi ke abhi aasar hain baqi warna

daur-e-taKHrib mein tamir kahan se aai

DhunDne nikle the hum maut ke mani lekin

zindagi ki nai tafsir kahan se aai

is ko aadam hi ki taqsir ka samra kahiye

warna jannat ki ye jagir kahan se aai

waqt ka sail 'karamat' tujhe le Duba tha

yak-ba-yak ye teri tadbir kahan se aai

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ru-ba-ru Gham Ke Ye Taqdir Kahan Se Aai In English By Famous Poet Karamat Ali Karamat. Ru-ba-ru Gham Ke Ye Taqdir Kahan Se Aai is written by Karamat Ali Karamat. Read famous Poem Ru-ba-ru Gham Ke Ye Taqdir Kahan Se Aai for youth and Student by Karamat Ali Karamat. Free Download Ru-ba-ru Gham Ke Ye Taqdir Kahan Se Aai in PDF.