Paigham-e-shabab Aa Raha Hai
paigham-e-shabab aa raha hai
shaKHon pe gulab aa raha hai
jazbe ka parinda kyun na taDpe
rahon mein sarab aa raha hai
hoshyar rahe KHirad ki mahfil
ek KHana-KHarab aa raha hai
sarshaar hain waqt ke kaTore
jam-e-mai-e-nab aa raha hai
is tarah shafaq ko nind aai
ehsas ko KHwab aa raha hai
insan hai be-haya kuchh aisa
haiwan ko hijab aa raha hai
taron ki nigah kyun na chamke
chehre pe naqab aa raha hai
kora hai ye hashiya KHudi ka
hasti ka wo bab aa raha hai
ungli mein ubhar rahi hai sozish
hathon mein rubab aa raha hai
puchha jo sawal aasman se
dharti se jawab aa raha hai
ghulta hai dimagh ai 'karamat'
sar par jo azab aa raha hai
(803) Peoples Rate This