Hazar Martaba Dekha Sitam Judai Ka

hazar martaba dekha sitam judai ka

hanuz hausla baqi hai aashnai ka

pari uThi mere pahlu se barha nakaam

farefta hun teri tarz-e-dilrubai ka

mujhe azab-e-jahannam ki but-parast hun main

wo but bahisht mein dawa jise KHudai ka

faza-e-bagh se hai gosha-e-qafas KHush-tar

gar apne dil mein na ho daghdagha rihai ka

adab na wadi-e-wahshat ke mujh se tark hue

junun mein hosh raha hai barhana-pai ka

nigah KHanda taghaful itab kohna hue

nikal tarz naya koi dilrubai ka

buton ka sajda meri sarnawisht mein kab tha

ki azm kabe ke dar par ho jubba-sai ka

uchak raha hai khaDa baam-e-arsh par kam-baKHt

qalaq hai mujh ko 'shahidi' ki na-rasai ka

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazar Martaba Dekha Sitam Judai Ka In English By Famous Poet Karamat Ali Shaheedi. Hazar Martaba Dekha Sitam Judai Ka is written by Karamat Ali Shaheedi. Read famous Poem Hazar Martaba Dekha Sitam Judai Ka for youth and Student by Karamat Ali Shaheedi. Free Download Hazar Martaba Dekha Sitam Judai Ka in PDF.