Ji Chahega Jis Ko Use Chaha Na Karenge

ji chahega jis ko use chaha na karenge

hum ishq o hawas ko kabhi yakja na karenge

ai kash chhuTen ahd-shikan ban ke jahan mein

baz aae wafadari ka dawa na karenge

go husn-parasti na ho KHatir se faramosh

KHush-qamaton ka yaad sarapa na karenge

nargis ki shab-e-tira mein luTenge bahaaren

par surmagin aankhon ki tamanna na karenge

bahlaenge sair-e-gul-o-shabnam se dil apna

us aariz-e-gul-rang ki parwa na karenge

angaron pe loTenge par un shola-ruKHon ke

nazzara se hum aankh bhi senka na karenge

ismat ka unhen KHauf hai taqwa ka hamein pas

ne ki hai kabhi KHwahish-e-beja na karenge

bakne ke 'shahidi' ke bura maniyo mat jaan

hain aashiq-e-sadiq kabhi aisa na karenge

(543) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ji Chahega Jis Ko Use Chaha Na Karenge In English By Famous Poet Karamat Ali Shaheedi. Ji Chahega Jis Ko Use Chaha Na Karenge is written by Karamat Ali Shaheedi. Read famous Poem Ji Chahega Jis Ko Use Chaha Na Karenge for youth and Student by Karamat Ali Shaheedi. Free Download Ji Chahega Jis Ko Use Chaha Na Karenge in PDF.