Lab Pe Kisi UjDi Hui Jagir Ka Matam

lab pe kisi ujDi hui jagir ka matam

har lafz mera halqa-e-zanjir ka matam

dil mein kahin bujhte hue armanon ka nauha

aankhon mein kisi yaad ki taswir ka matam

har soch mein sangin fazaon ka fasana

har fikr mein shamil hua tahrir ka matam

jab se hua malum ki ye chand hai patthar

karta hun main ab chand ki tasKHir ka matam

har harf mera karb-e-musalsal ki ghuTan mein

karta hai mere KHana-e-dil-gir ka matam

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab Pe Kisi UjDi Hui Jagir Ka Matam In English By Famous Poet Karamat Bukhari. Lab Pe Kisi UjDi Hui Jagir Ka Matam is written by Karamat Bukhari. Read famous Poem Lab Pe Kisi UjDi Hui Jagir Ka Matam for youth and Student by Karamat Bukhari. Free Download Lab Pe Kisi UjDi Hui Jagir Ka Matam in PDF.