Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e164c8fdd2b0d4133346f60c34344976, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHudi Kam Zindagi Mein Gham Bahut Hain - Karamat Bukhari Poetry In English - Darsaal

KHudi Kam Zindagi Mein Gham Bahut Hain

KHudi kam zindagi mein gham bahut hain

yahi hai imtihan to hum bahut hain

hamara dard chehre se ayan hai

hamare dard ke mahram bahut hain

hui hamwar kis se rah-e-hasti

abhi tak is mein pech o KHam bahut hain

zaruri to nahin ek fasl-e-gul ho

junun ke aur bhi mausam bahut hain

bahut hain rone wale gulsitan par

sharik-e-girya-e-shabnam bahut hain

meri palkon pe raushan hain jo aansu

mujhe ai dida-e-pur-nam bahut hain

nahin ek aalam-e-sham-e-judai

nazar mein aur bhi aalam bahut hain

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHudi Kam Zindagi Mein Gham Bahut Hain In English By Famous Poet Karamat Bukhari. KHudi Kam Zindagi Mein Gham Bahut Hain is written by Karamat Bukhari. Read famous Poem KHudi Kam Zindagi Mein Gham Bahut Hain for youth and Student by Karamat Bukhari. Free Download KHudi Kam Zindagi Mein Gham Bahut Hain in PDF.