Jis Shajar Par Samar Nahin Hota

jis shajar par samar nahin hota

us ko patthar ka Dar nahin hota

aankh mein bhi chamak nahin hoti

jab wo pesh-e-nazar nahin hota

mai-kade mein ye ek KHubi hai

naseha tera Dar nahin hota

ab to bazar bhi hain be-raunaq

koi yusuf idhar nahin hota

jo sadaf sahilon pe rah jae

us mein koi guhar nahin hota

aah to ab bhi dil se uThti hai

lekin us mein asar nahin hota

gham ke maron ka jo bhi maskan ho

ghar to hota hai par nahin hota

ahl-e-dil jo bhi kaam karte hain

us mein shaitan ka shar nahin hota

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Shajar Par Samar Nahin Hota In English By Famous Poet Karamat Bukhari. Jis Shajar Par Samar Nahin Hota is written by Karamat Bukhari. Read famous Poem Jis Shajar Par Samar Nahin Hota for youth and Student by Karamat Bukhari. Free Download Jis Shajar Par Samar Nahin Hota in PDF.