Insaf Jo Nadar Ke Ghar Tak Nahin Pahuncha

insaf jo nadar ke ghar tak nahin pahuncha

samjho ki abhi hath samar tak nahin pahuncha

mizhgan pe ruke hain abhi Dhalke nahin aansu

ye soch ka sailab safar tak nahin pahuncha

kuchh log abhi KHair ki KHwahish ke amin hain

dastar ka jhagDa abhi sar tak nahin pahuncha

parwaz mein tha amn ka masum parinda

sunte hain ki be-chaara shajar tak nahin pahuncha

insan to dukh-dard ke sahraon mein gum hai

ye qafila KHushiyon ke Dagar tak nahin pahuncha

muddat se mohabbat ke safar mein hun 'karamat'

lekin abhi chahat ke nagar tak nahin pahuncha

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Insaf Jo Nadar Ke Ghar Tak Nahin Pahuncha In English By Famous Poet Karamat Bukhari. Insaf Jo Nadar Ke Ghar Tak Nahin Pahuncha is written by Karamat Bukhari. Read famous Poem Insaf Jo Nadar Ke Ghar Tak Nahin Pahuncha for youth and Student by Karamat Bukhari. Free Download Insaf Jo Nadar Ke Ghar Tak Nahin Pahuncha in PDF.