Fan Ki Aur Zat Ki Paikar Ne Sone Na Diya

fan ki aur zat ki paikar ne sone na diya

dil mein jage hue fankar ne sone na diya

har taraf tapti hui dhup mere sath gai

zer-e-saya kisi diwar ne sone na diya

ek masum si surat ko kahin dekha tha

phir bhi chashman-e-gunahgar ne sone na diya

mere ham-sae mein shayad hai koi mujh jaisa

hai jo charcha kisi bimar ne sone na diya

kal mere shahr mein ek zulm kuchh aisa bhi hua

raat bhar ghairat-e-fankar ne sone na diya

jagte rahne ka aaram to kya hum ko bhi

chain se shiddat-e-afkar ne sone na diya

kal kuchh aisi hi sar-e-bazm meri baat giri

kisi pahlu mere pindar ne sone na diya

ek dhaDka sa laga tha ki sahar-dam kya ho

sar pe laTki hui talwar ne sone na diya

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fan Ki Aur Zat Ki Paikar Ne Sone Na Diya In English By Famous Poet Karrar Noori. Fan Ki Aur Zat Ki Paikar Ne Sone Na Diya is written by Karrar Noori. Read famous Poem Fan Ki Aur Zat Ki Paikar Ne Sone Na Diya for youth and Student by Karrar Noori. Free Download Fan Ki Aur Zat Ki Paikar Ne Sone Na Diya in PDF.