Fikr-o-izhaar Mein KHud Aane Lagi Pa-mardi

fikr-o-izhaar mein KHud aane lagi pa-mardi

bhuk ki aag ne lahje mein tamazat bhar di

kuchh to hai zist jo waqf-e-mai-o-saghar kar di

warna kis ko hai pasand apne liye bedardi

ishq-e-awara-o-badnam ne izzat rakh li

hum se be-ghar bhi kiya karte hain kucha-gardi

baat to jab hai ki tum kahne lago us ko basant

gul-o-gulzar pe jo aane lagi hai zardi

aap ke jism pe kya KHub hai mausam ka libas

hae jo alag samajhte nahin garmi-sardi

(654) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fikr-o-izhaar Mein KHud Aane Lagi Pa-mardi In English By Famous Poet Karrar Noori. Fikr-o-izhaar Mein KHud Aane Lagi Pa-mardi is written by Karrar Noori. Read famous Poem Fikr-o-izhaar Mein KHud Aane Lagi Pa-mardi for youth and Student by Karrar Noori. Free Download Fikr-o-izhaar Mein KHud Aane Lagi Pa-mardi in PDF.