KHud Apne Ghar Mein Hain Is Tarah Aaj Aae Hue

KHud apne ghar mein hain is tarah aaj aae hue

ki jaise ghar mein kisi ke hon hum bulae hue

ki jaise ab koi KHurshid aa hi jaega

hain apne ghar ke andheron se lau lagae hue

KHuda kare dar-o-diwar kan rakhte hon

zamana guzra hai rudad-e-gham sunae hue

in aandhiyon mein na jaane kidhar se aa jao

main ja raha hun har ek su diya jalae hue

garan guzarti hai ab shahr ki har ek aawaz

suna rahe hain wo qisse jo hain sunae hue

ho jaise jurm-e-mohabbat mein meri nakaami

har ek se rahta hun 'nuri' nazar bachae hue

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Apne Ghar Mein Hain Is Tarah Aaj Aae Hue In English By Famous Poet Karrar Noori. KHud Apne Ghar Mein Hain Is Tarah Aaj Aae Hue is written by Karrar Noori. Read famous Poem KHud Apne Ghar Mein Hain Is Tarah Aaj Aae Hue for youth and Student by Karrar Noori. Free Download KHud Apne Ghar Mein Hain Is Tarah Aaj Aae Hue in PDF.