Hain Agar Dar-o-rasan Subh-e-munawwar Ke Ewaz

hain agar dar-o-rasan subh-e-munawwar ke ewaz

phir to KHurshid hi ubhrega mere sar ke ewaz

hum ko bhi sar koi darkar hai ab sar ke ewaz

patthar ek hum bhi chala dete hain patthar ke ewaz

farq kya paDta hai ho jae agar dad-rasi

ek nazar dekh hi lo wada-e-mahshar ke ewaz

hum ne chaha tha ki patthar hi se Thokar khaen

sar bhi ek hum ko mila rah mein patthar ke ewaz

pasbanan-e-chaman rah gae bairun-e-chaman

nargis-e-KHufta mili sarw-o-sanobar ke ewaz

ab kahan pahla sa saqi ke karam ka dastur

aabru bechni paD jati hai saghar ke ewaz

kya KHabar wo hi chale aaen saja lun ghar ko

mauj-e-gul aane lagi aaj to sarsar ke ewaz

un ke wade ki jo tasdiq bhi chahi 'nuri'

saf inkar tha taid-e-mukarrar ke ewaz

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Agar Dar-o-rasan Subh-e-munawwar Ke Ewaz In English By Famous Poet Karrar Noori. Hain Agar Dar-o-rasan Subh-e-munawwar Ke Ewaz is written by Karrar Noori. Read famous Poem Hain Agar Dar-o-rasan Subh-e-munawwar Ke Ewaz for youth and Student by Karrar Noori. Free Download Hain Agar Dar-o-rasan Subh-e-munawwar Ke Ewaz in PDF.