Mera Darman Hai Na Kabe Mein Na But-KHane Mein

mera darman hai na kabe mein na but-KHane mein

rind hun mujh ko paDa rahne do mai-KHane mein

us ko samjhi hai na samjhegi majazi duniya

hai haqiqat hi haqiqat mere afsane mein

liye phirti hai mujhe manzil-e-jaanan ki talash

chain hasil hai gulistan mein na virane mein

un ke kahne se use toD dun kaise aaKHir

ilm jin ko nahin kya hai mere paimane mein

rabt-e-baham bhi ajab shai hai gale milte hi

shama ka nur nazar aata hai parwane mein

husn ru-posh hai to did ke qabil kya hai

ab kise dekhun bhala dahr ke gham-KHane mein

sinche jao ise tum apne lahu se kashfi

phul khil jaenge ek din isi virane mein

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Darman Hai Na Kabe Mein Na But-KHane Mein In English By Famous Poet Kashfi Lucknavi. Mera Darman Hai Na Kabe Mein Na But-KHane Mein is written by Kashfi Lucknavi. Read famous Poem Mera Darman Hai Na Kabe Mein Na But-KHane Mein for youth and Student by Kashfi Lucknavi. Free Download Mera Darman Hai Na Kabe Mein Na But-KHane Mein in PDF.