Mausam-e-gul Mein Koi Kab Hosh-mandana Chala

mausam-e-gul mein koi kab hosh-mandana chala

phul dekhe jis ne kanTon mein wo diwana chala

ek hi manzil pe har rahi ko jaana tha magar

zoam-e-baatil mein chala jo bhi judagana chala

us ke har ek gam par thi kaamrani sath sath

kargah-e-dahr mein jo sarfaroshana chala

waizan-e-kam-nazar hain dushman-e-tamkin-e-hosh

miT gaya wo in ki baaton par jo diwana chala

mai-kade mein ranj-o-gham kaisa kahan ki mushkilen

har KHalish jati rahi jab daur-e-paimana chala

aafrin sad aafrin ye himmat zauq-e-talab

shama ke jalte hi jal marne ko parwana chala

koi asrar mashiyyat ho na paya aashkar

be-KHabar aaya tha 'kashfi' aur begana chala

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mausam-e-gul Mein Koi Kab Hosh-mandana Chala In English By Famous Poet Kashfi Lucknavi. Mausam-e-gul Mein Koi Kab Hosh-mandana Chala is written by Kashfi Lucknavi. Read famous Poem Mausam-e-gul Mein Koi Kab Hosh-mandana Chala for youth and Student by Kashfi Lucknavi. Free Download Mausam-e-gul Mein Koi Kab Hosh-mandana Chala in PDF.