Koi Hamdard Nahin Koi Bhi Dam-saz Nahin

koi hamdard nahin koi bhi dam-saz nahin

ab to is bazm mein meri koi aawaz nahin

naghma kaisa ki labon par bhi hai ek mohar-e-sukut

dil ki dhaDkan ke siwa ab koi aawaz nahin

aur hi hoti hai ek saz-e-shikasta ki sada

soz-e-gham jis mein na ho dil ki wo aawaz nahin

mahw-e-parwaz hai us auj pe bhi mera KHayal

jis bulandi pe farishton ki tag-o-taz nahin

KHar ban jaana hai har phul mere hisse ka

baghban ye meri qismat ka to eajaz nahin

jab se badla hai tera tarz-e-sitam ai zalim

dil-e-bismil ke taDapne ka wo andaz nahin

karwaTen lete hain naghmat-e-mohabbat is mein

dil ki aawaz se behtar koi aawaz nahin

phir gai milne se pahle wo nazar ai 'kashfi'

ye wo anjam hai jis ka koi aaghaz nahin

(924) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Hamdard Nahin Koi Bhi Dam-saz Nahin In English By Famous Poet Kashfi Lucknavi. Koi Hamdard Nahin Koi Bhi Dam-saz Nahin is written by Kashfi Lucknavi. Read famous Poem Koi Hamdard Nahin Koi Bhi Dam-saz Nahin for youth and Student by Kashfi Lucknavi. Free Download Koi Hamdard Nahin Koi Bhi Dam-saz Nahin in PDF.