Karte Rahen Wabasta Un Se Chahe Jo Afsane Log

karte rahen wabasta un se chahe jo afsane log

ishq mein ruswai ki parwa karte hain kab diwane log

kis ko sadaen deta hai tu shahr-e-tamanna mein ai dil

kaun yahan hai tera sathi sabhi to hain begane log

kis ko sunaen haal-e-tabahi kis ko dikhaen zaKHm-e-jigar

daur-e-sitam hai rahm kahan ab zulm ke hain diwane log

shaiKH-o-barahman ki baaton mein dair-o-haram ke jhagDe hain

chaal mein in ki phir kyun aaen hum jaise mastane log

faiz-e-junun se jag uTha hai aaj muqaddar sahra ka

phul khilate hain is mein bhi dekhiye kuchh diwane log

bachte hue sab se aae the mahfil-e-zindan ki jaanib

mil hi gae uf hum ko yahan bhi kuchh jaane pahchane log

ahl-e-junun ke faiz se kashfi duniya mein bedar hi hai

baat pate ki kah dete hain akasr ye diwane log

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karte Rahen Wabasta Un Se Chahe Jo Afsane Log In English By Famous Poet Kashfi Lucknavi. Karte Rahen Wabasta Un Se Chahe Jo Afsane Log is written by Kashfi Lucknavi. Read famous Poem Karte Rahen Wabasta Un Se Chahe Jo Afsane Log for youth and Student by Kashfi Lucknavi. Free Download Karte Rahen Wabasta Un Se Chahe Jo Afsane Log in PDF.