Jab Raushni Na Pa Sake Mehr-o-qamar Se Hum
jab raushni na pa sake mehr-o-qamar se hum
KHud be-niyaz ho gae sham-o-sahar se hum
is imtihan mein bhi hai tera karam sharik
hans kar guzar rahe hain rah-e-pur-KHatar se hum
duniya ko hum dikhaenge mear-e-bandagi
qismat bana ke uTThenge ab tere dar se hum
jis ki nawazishon pe hai mauquf zindagi
kya hoga gir gae agar us ki nazar se hum
zinda hain to banega isi ja phir aashiyan
Darte nahin hain fitna-e-barq-o-sharar se hum
duniya se dur ho ke pata us ka pa gae
warna the apne aap se bhi be-KHabar se hum
allah rakkhe KHanda-e-diwangi se dur
hain aashna maal-e-gham-e-mo'atabar se hum
'kashfi' bana diya use aaina-e-bahaar
guzre kisi ki yaad mein jis rahguzar se hum
(787) Peoples Rate This