Jab Apne Gham Ka Fasana Unhen Sunate Hain
jab apne gham ka fasana unhen sunate hain
zamana hansta hai hum par wo muskuraate hain
meri nigah se jab wo nazar milate hain
dil-e-gharib ki duniya ujaD jate hain
hamari aankhon ne har inqalab dekha hai
zamana wale hamein kis liye Daraate hain
ye kaisa jashn manate hain gulistan wale
gulon ko toDte hain aashiyan jalate hain
zamane wale samajhte hain hum ko diwana
tumhaare husn ke jis waqt git gate hain
teri nigah mein saqi ye kaisa jadu hai
ki be-piye hi qadam Dagmagae jate hain
jo teri bazm-e-tarab mein kabhi guzare the
wo lamhe ab bhi hamein rose yaad aate hain
hamare ashkon ki tabish pe hai nazar shayad
jabhi to sham se tare bhi jhilmilate hain
wo kya banaenge bigDa nasib ai 'kashfi'
jo mere haal-e-pareshan pe muskuraate hain
(800) Peoples Rate This