Wo Misl-e-mauj-e-bahaar Apne Shabab Ki Samt Aa Rahe Hain

wo misl-e-mauj-e-bahaar apne shabab ki samt aa rahe hain

dilon ke ghunche khila rahe hain nazar ka daman saja rahe hain

har ek zarre mein har faza mein wo husn ban kar sama rahe hain

hamari tab-e-nigah ko wo har aaina aazma rahe hain

hamare aansu suna rahe hain shikasta dil ka fasana un ko

magar qayamat ki baat hai ye wo sun ke bhi muskura rahe hain

dil-o-jigar KHun ho chuke hain hamare lab par magar hansi hai

hum apne afsana-e-wafa ko kuchh aur rangin bana rahe hain

jo mahw-e-zulm-o-sitam tha kal tak wo aaj shayad badal gaya ho

ye aarzu le ke hum dobara kisi ke kuche mein ja rahe hain

falak ka andaz kah raha hai hamare arman ka KHun hoga

abhi to aaghaz-e-shab hai aaKHir sitare kyun jhilmila rahe hain

hamari qismat ka pher dekho talash-e-manzil mein umr guzri

magar jahan se chale the kashfi wahin pe hum KHud ko pa rahe hain

(621) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Misl-e-mauj-e-bahaar Apne Shabab Ki Samt Aa Rahe Hain In English By Famous Poet Kashfi Lucknavi. Wo Misl-e-mauj-e-bahaar Apne Shabab Ki Samt Aa Rahe Hain is written by Kashfi Lucknavi. Read famous Poem Wo Misl-e-mauj-e-bahaar Apne Shabab Ki Samt Aa Rahe Hain for youth and Student by Kashfi Lucknavi. Free Download Wo Misl-e-mauj-e-bahaar Apne Shabab Ki Samt Aa Rahe Hain in PDF.