Dil Dil Hi Rahega Gul-e-tar Ho Nahin Sakta

dil dil hi rahega gul-e-tar ho nahin sakta

KHun ho ke bhi manzur-e-nazar ho nahin sakta

jo zulm kiya tu ne kiya be-jigri se

aisa to kisi ka bhi jigar ho nahin sakta

thak thak ke teri rah mein yun baiTh gaya hun

goya ki bas ab mujh se safar ho nahin sakta

izhaar-e-mohabbat mere aansu hi karenge

izhaar ba-andaz-e-digar ho nahin sakta

har bund lahu ki kabhi banti nahin aansu

jaise ki har ek qatra guhar ho nahin sakta

ye ahd-e-jawani bhi hai kuchh aisa zamana

be-baada-e-sarjosh basar ho nahin sakta

le jaega ye dil mujhe us bazm mein aaKHir

jis mein ki saba ka bhi guzar ho nahin sakta

jab tak teri rahmat ka hai 'kashfi' ko sahaara

sach ye hai gunahon se hazar ho nahin sakta

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Dil Hi Rahega Gul-e-tar Ho Nahin Sakta In English By Famous Poet Kashfi Multani. Dil Dil Hi Rahega Gul-e-tar Ho Nahin Sakta is written by Kashfi Multani. Read famous Poem Dil Dil Hi Rahega Gul-e-tar Ho Nahin Sakta for youth and Student by Kashfi Multani. Free Download Dil Dil Hi Rahega Gul-e-tar Ho Nahin Sakta in PDF.