Ghubar-e-dasht-e-yaksani Se Nikla

ghubar-e-dasht-e-yaksani se nikla

ye rasta meri be-dhyani se nikla

na hum wahshat mein apne ghar se nikle

na sahra apni virani se nikla

na nikla kaam koi zabt-e-gham se

na ashkon ki farawani se nikla

na aankhen hi huin gharqab-e-dariya

na koi aks hi pani se nikla

udhar nikli wo KHushbu shahr-e-gul se

idhar main bagh-e-virani se nikla

hua gharqab shahr-e-jaan to ye dil

ye dariya apni tughyani se nikla

jo nikla sham-e-dasht-e-karbala se

sitara KHanda-peshani se nikla

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghubar-e-dasht-e-yaksani Se Nikla In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. Ghubar-e-dasht-e-yaksani Se Nikla is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem Ghubar-e-dasht-e-yaksani Se Nikla for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download Ghubar-e-dasht-e-yaksani Se Nikla in PDF.