Har Gam Badalte Rahe Manzar Mere Aage

har gam badalte rahe manzar mere aage

chalta hi raha koi barabar mere aage

kya KHak meri KHak mein imkan ho paida

napaid hain maujud-o-mayassar mere aage

yun dekhne walon ko nazar aata hun pichhe

rahta hai masafat mein mera ghar mere aage

rakhti hai ajab pas meri tishna-labi ka

so mauj uThati hi nahin sar mere aage

hansta hi raha main dar-o-diwar pe apne

rota hi raha mera muqaddar mere aage

kal raat jagati rahi ek KHwab ki duri

aur nind bichhati rahi bistar mere aage

waqif hi nahin koi in aankhon ki rawish se

kam kam jo khula karti hain aksar mere aage

dekhe hi nahin main ne kabhi aankh mein aansu

pahna hi nahin us ne ye zewar mere aage

'ghaer' main kai roz se KHamosh hun aisa

goya nazar aate hain ye patthar mere aage

(609) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Gam Badalte Rahe Manzar Mere Aage In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. Har Gam Badalte Rahe Manzar Mere Aage is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem Har Gam Badalte Rahe Manzar Mere Aage for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download Har Gam Badalte Rahe Manzar Mere Aage in PDF.