KHwabon Ki Tarah Goya Bikhar Jaenge Hum Bhi

KHwabon ki tarah goya bikhar jaenge hum bhi

chup-chap kisi rose guzar jaenge hum bhi

hum jaise kai log chale jate hain har rose

kya hoga kisi rose jo mar jaenge hum bhi

hum log nahin kuchh bhi magar lauh-e-zama par

ek naqsh koi apna sa dhar jaenge hum bhi

oDhe hue hain ruh pe hum daghon bhari KHak

jab utregi ye KHak nikhar jaenge hum bhi

ek aaina aisa ki jo baatin bhi dikha de

aaega muqabil to sanwar jaenge hum bhi

rahna hai kise KHwab si duniya mein hamesha

'kashif' kisi din lauT ke ghar jaenge hum bhi

(996) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwabon Ki Tarah Goya Bikhar Jaenge Hum Bhi In English By Famous Poet Kashif Rafiq. KHwabon Ki Tarah Goya Bikhar Jaenge Hum Bhi is written by Kashif Rafiq. Read famous Poem KHwabon Ki Tarah Goya Bikhar Jaenge Hum Bhi for youth and Student by Kashif Rafiq. Free Download KHwabon Ki Tarah Goya Bikhar Jaenge Hum Bhi in PDF.