Kuchh Bhi Kar Lijiye Wo Waza Badalne Ke Nahin

kuchh bhi kar lijiye wo waza badalne ke nahin

yani hum karb-o-aziyyat se nikalne ke nahin

hum bhale kucha-e-viran mein akele bhaTken

is zamane ki rawish par kabhi chalne ke nahin

aaina hai hamein jab tak teri KHandan surat

hum kisi ranj ki taswir mein Dhalne ke nahin

han kabhi soz-e-darun un ko ghula de shayad

warna nalon se hamare wo pighalne ke nahin

ho chuke KHak jo jal kar wo patange ai shama

dusri bar tere shoale se jalne ke nahin

sehn-e-dil mein jo lagae the tamanna ke shajar

aisa lagta hai wo imsal bhi phalne ke nahin

jab talak manzil-e-ulfat pe nazar hai 'kashif'

panw apne kisi Tile se phisalne ke nahin

(1018) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bhi Kar Lijiye Wo Waza Badalne Ke Nahin In English By Famous Poet Kashif Rafiq. Kuchh Bhi Kar Lijiye Wo Waza Badalne Ke Nahin is written by Kashif Rafiq. Read famous Poem Kuchh Bhi Kar Lijiye Wo Waza Badalne Ke Nahin for youth and Student by Kashif Rafiq. Free Download Kuchh Bhi Kar Lijiye Wo Waza Badalne Ke Nahin in PDF.