Dasht-e-taKHayyul Ki Nafi

mujhe dasht-e-taKHayyul ka safar karna agar aata

tawaf-e-kaba karta, zindagi ko samt mil jati

sahife dil ke sab bikhre hue mere sanwar jate

gham-o-alam mere bhi,

ghubar-e-rah ban jate

mujhe dasht-e-taKHayyul ka safar karna agar aata

tazadat ab jo paida hain, wo paida hi nahin hote

kahin kunj-e-sukun misl-e-madina mujh ko mil jata

mujhe dasht-e-taKHayyul ka safar karna agar aata

jinhen dasht-e-taKHayyul ka safar karna bhi aata hai

hawa ke dosh par uDte hain misl-e-gard-e-awara

gidhon ka jhunD ki manDla raha ho jaise murdon par

mujhe dasht-e-taKHayyul ka safar karna nahin aata

nahin aata to achchha hai, nahin aae to achchha hai

(681) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht-e-taKHayyul Ki Nafi In English By Famous Poet Kausar Mazhari . Dasht-e-taKHayyul Ki Nafi is written by Kausar Mazhari . Read famous Poem Dasht-e-taKHayyul Ki Nafi for youth and Student by Kausar Mazhari . Free Download Dasht-e-taKHayyul Ki Nafi in PDF.