Ghair-marai Taqat

koi ghair-marai si taqat to hogi

jilau mein jo le kar

har ek ruh-e-tifl-o-jawan ko

KHamoshi se su-e-falak kuch karti hai akasr

koi bap masum beTe ko thame

dawa de raha hai, har ek sans ke zer-o-bam par nazar hai

udhar us ki jaan jism se ja rahi hai

magar kuchh nazar bhi na aae, samajh mein na aae

abhi khelta tha, abhi dekhta tha

abhi to, abhi, han abhi band aankhen hui hain

ye dekho labon par,

ajab ek masum si muskurahaT hai baqi

magar koi jumbish nahin hai

ramaq zindagi ki na baqi hai koi

koi ghair-marai si taqat to hogi,

jo aahistagi se chali aati hogi

KHamoshi se aaghosh mein apni,

masum ruhon ko le kar chali jati hogi

yaqinan koi ghair-marai si taqat hai warna

agar koi marai si taqat jo hoti

to nadan insan bahut ghul machata

magar ye nizam-e-ilahi badalta nahin hai

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghair-marai Taqat In English By Famous Poet Kausar Mazhari . Ghair-marai Taqat is written by Kausar Mazhari . Read famous Poem Ghair-marai Taqat for youth and Student by Kausar Mazhari . Free Download Ghair-marai Taqat in PDF.